Main apne parents ke sath rehti hoon, jin ki khidmat karna main apna faraz aur saadat samajhti hoon. Mere do bhai aur aik behen hain, jo sab shadi shuda aur apni zindagi mein mutmain hain. Hum filhaal kiraye ke ghar mein rehty hain. Financial majbooriyon ki wajah se mujhe apni university ki taleem adhuri chhorni pari, lekin ilm hasil karne ka shouq abhi tak dil mein zinda hai. Rozana ki zindagi mein mujhe ghar sambhalna, pakwan banana aur farigh waqt mein books parhna pasand hai. Main khandani rishton ki izzat karti hoon. Mujhe simple shadi kerne hai, with full family involvement. No outside meetings. I can live in a joint family, but I prefer a separate portion. If you are living on rent, no problem. Make sure your proposal starts with the word education. I am looking for an educated, understanding, supportive, and kind-hearted partner.